Wednesday, March 26, 2014

shayri

kuchh sachai aapke aaine mein
kuchh hamari aankhon mein hai

aaina dhundla bhi ho gar
tasveer phir bhi dikhaata hai

aapka sach jo bhi ho
hamaara yakeen aapki dosti hai

kehte hain nahin kar payenge bardaasht
kuchh rang zindagi ke
nahin pata hamein kaise milte hain logon se
tukdo mein
hum toh sirf ek dost ko jaante hain
har rang mein wahi dikhe

bahut keemat chuka li ai zindagi
kuchh muskuraahaton ka karz
tujhpar bhi hai baaki

hum to jab bhi dekhte hain
jaane kiska chehra nazar aata hai

kehna hai kya jo suney ankahi baatein
saath rakhna hai subah ko jo rehti har samay

nazron mein dhoonda bas ek hi sach
woh khushi jo aapse lalchai hai

dil ne kaha khushi nazron ne subah
dost to ban gaye, naam dhoondte rahey

aasmaan se aasmaan milaane waale
dikhte nahin batwaare ke nishaan

jiske choone se rooh tak sihar utthe
ussi ehsaas ko mohabbat kehte hain

kuchh gham baantne hain, kuchh khushi bhi
sachai achhui ek hi hai, aapke honay ki

dhoop ki garmi mein jalte huey
kahin ek tasalli chhaon ke honay ki hai
aise hi chalte rahey, milli na chhaya kahin
dhoop ki haar dekho, sirf ek khayaal se hui

dete hain takleef usse hi
har gham se jisse
door rakhne ki dua ki thi

os ki boond nahin
jo har subah nayi saans liye
hoti hai qurbaan phir ussi
dhoop pe

kuchh sawaal anjaane poochhte hain
kyon tha yeh naam hi
kuchh pal gar itne hain keemti
jinka faisla lai zindagi
phir kyon nasamajh nazrein
maangti saboot sachai ka
barhte kadmon ko kya dikha achanak
kis apne ka ehsaas

kabhi sochte hain ehmiyat to
aur ban jaate hain sawaal
kuchh nasamajh lafzon mein simatkar
kho jaata hai wajood-e-ehsaas
kitni kamzor dosti hai
kitna majboor aadmi hai

kyon pachhtaati hain aankhein peechhe dekh kar
haath aayi khwaaishon ki dor phir pakadne ki chah mein

kuchh muskuraahoton ki talaash mein kho jaati hai hansi kahin
kissi manzil tak pahunchne ki jaldi mein
ek naye sapney ki talaash mein
bas ek kadam ke faasle par rehti hai khushi
har kada par dil behak kar kehta hai yehi

aise hi chalte rahey, milli na chhaya kahin
dhoop ki haar dekho, sirf ek khayaal se hui

dhoop ki garmi mein jalte huey
kahin ek tasalli chhaon ke honay ki hai

kuchh gham baatne hain, kuchh khushi bhi
sachai anchhui ek hi hai, aapke honay ki

jidhar dekha sirf tumhi nazar aaye
kya karein hum agar tumhi ne aaina nahin dekha

uthaaye haath jo humne khuda se dua maangein
uljhan hai urdu ke lafzon ki maula hi madad kar de
na umeedi mein jo nazar uthayi
sirf taare hi nazar aaye..

parchhaiyan pakadte pakadte thak gayi zindagi
hai nazron ka dhokha ya de gayin dhokha nazrien

taraasha hai khud hi kyon gila ho but ki
lafzon ka aaine mein dhadka bikhar gayi

chand saansein hain adhoori udhaar zindagi par
kuchh aapke aane par rukin kuchh aapke jaane ke baad

nahin hain saath phir bhi na haath mein dawa phir bhi
in lafzon mein hai woh taseer jo pahunche aap tak, ban anmol dua

issi lamhe mein chhupi hai woh khushi
jo chhalak rahi hai aapki muskaan mein

kuchh nagme adhoore se, bechain kalpana hai
madhosh zindagi mein chhupi kaise tamanna hai

lete hain khwaab kaise angraiyaan yun mann mein
na pankh theharte hain na paon hi uthte hain

chherhte hain umangon ko khwaishein jagaate hain
kis kis tarah se dekho dhadkan ko lubhaate hain

yeh nagme adhoore se, zindagi ki kalpana hai
khilte hain aankhon mein, hothon pe jhalak jaayein

mayoosiyon se larhte, mann mein hi na simattey
akaash mein chaahat ki umeed ke taarey hain

kyon koi chhuey mann ko kuchh is tarah se

bay waqat hai wajoode aaina yaar tere aks ke bina

ho jaayein khafa humse kitna bhi
khud se khafa hon itni saza na dijiye

kuchh jawaab dhoondte dhoondte
khud ek sawaal ban jaati hai zindagi

kyon pachhtaati hain aankhein peechhe dekh kar
haath aayi khwaiishon ki dorr phir pakadne ki chah mein

har khushi paane ki khwaish mein
mitti kiye jaate hain jo milti hai
na jaane kahan jaane kya paane ki jaldi hai

us aakhri saans ke aanchal mein
chaahat hoti hai jo peechhe chorrh diya
kaisi yeh zindagi hai
jis ek kadam par khushi rehti hai
woh raasta hi nahin tai hota

barhaaya haath dosti ka pehchaante nahin
kho gayin shaksiyatein chehron ke bheed mein

dhoondte hain khudayi ka saboot log na jaane kidhar kidhar
humne toh dekha hai noor-e-jannat kissi ki muskaan mein

aks paaya us os ka apni aankhon mein
sab kuchh dhundla gaya jis ehsaas se

ek benaam dard tair raha aankhon mein
jo chhalak utthen nakaam marham ban
us kami ko bharne jo in kadmon ko
door liye jaata hai

shikwa bhi karein toh kaise
woh aadarsh woh abhimaan
itne kareeb hain dil ke

phir bhi yeh mann khincha jaata hai
is nakaam koshish mein
jo bhar sakey woh dard
chhupa hai jo aapke gusse
aapki teekhi baaton ke peechhe

na jaane kya dikhta hai hamein
jo ek aah ban sisakta hai

ghira hai koi sailaab mein lafzon ke
yeh khamoshiyon ka bandh kab tootega

kuchh sawaal poochhte hain kabhi
kyon tha yeh naam bhi
kuchh pal gar itne hain keemti
jinka faisla likh lai zindagi
phir kyon nasamjh ehsaas
churayein nazar hakeekat se
kyon barhte kadam ruk gaye achaanak
kissi anjaan aahat par

gam ki parchhaiyon se door
unchi deewaron se ghira har insaan
khushi dhoondta tang darwaazon mein
phir bhi hai yehi lub par
dekhe rishte dekhi unki tanhaayian

apne kaanon ko itni takleef.. sift
hamein taaron par bithaane ke liye
hum to aap ka mann dekha aise hi
aasmaan ko chhoone lage

itni tareef karenge baba.. ek
jhilmil si awaaz sunayi parhti hai
woh kaun hai jisne kaha

aapko tohfa aapka andaaz
kya kahein aapse kho gaye sab alfaaz
chhalakti dua ki mehak
khuda ki muskaan liye chali hai aap ki orr

ek ehsaas hai apna anjaana
na poochha mann ne sawaal koi
bas rishta khud hi bana liye
khuda bhi jawaab maangein agar
toh haath mein haath hi paayenge

alfaaz dhoondte rahe likhne jo baithe
kaagaz ki nami khud apni zubaan ban gayi

aise tez se jal na jayein kahin
apne sundar lafzon ki chhaya liye

sapnon ke pankh par aap
le chale hamein taaron ke beech
woh nazar phir bhi kahan se layein
jo dekhe sooraj ki orr

alfaaz nahin mil rahey hamein
kaanpte haathon ko kya dosh dein
gad gad hain mann
aankhon mein tairte kai rang
be-panaah khushi chhalak rahi
aseem anuraag se

ek dua jo ashirwaad bann gayi
ankahi, andekhi, anjaani, anmol
woh aap hi toh hain

is be-inteha dhadkanon ki goonj mein
honay do choor yeh mann
ik khamosh sukoon se

us bolti khamoshi se chhanti roshni jaise kar rahi ho baar baar
umangon se bhari ik nayi subah ka ishaara

aapka na likhna toh hamein kissi keemat manzoor nahin
likhte hain hhum kaagaz par aapki baat kya kahein
itna swachh mann khud hi kitaab ban bolta hai
kalam ki zaroorat usse kya jiska har ehsaas chhuey mann ko

likhne hi baithe hain aapko kalam bhi saath deti hai
lafz toh sabhi parrh lete hain woh ehsaas kahan se laayein
jo os ban chamke aankhon mein

kai khwaab umangon ki palkon mein chhupkar
reh reh ke aankhon mein kasasaate to honge

baadlon par thhirakti chandni ki tarah
ek muskaan aapke khayaalon ko
chherrh cherrh jaati to hogi

haya ki aabhi mein simti dekho woh chali saanjh
liye roshni apne saath chhorrh gayi sapne
laakhon sitaaron ke
yeh chaand si bindiya muskaati umeed ke jharokhe se

khayaalon ki tanhi ka woh ek pal
kya kabhi de payenge khudko hum

talaashti aapki aankhein shaayad
dhoondti hain hum mein phir wohi lamha

har taraf hai dhuan sa hai zindagi giri hui
iska aadi har insaan, chal raha adhoori saanson par

kisko pata aag kidhar lagi, kaun jal raha un lapton mein
dekhein sab doosri orr, bahut tangdil yeh daayre hain

aapki haar toh hamein kissi keemat manzoor nahin
likhte hain hum kaagaz par aapki baat kya kahein
itna swachh mann khud hi kitaab ban bolta hai
kalam ki zaroorat usse kya, jiska har ehsaas chhuey mann ko

azaad parinde ki tarah urhta har mann
kyon hai uske pairon se bandhi dor

kaun si sarhad kis desh ki karein baat
kahaan hai ghar aapka, kaun rishtedaar
dil ke nazdeek jo rahey usse kya poochein pata
rishta dosti ka na maange aur koi pehchaan

rishton ki samajh kisko hai yahan
kaun kiska dard chhookar hua khud se hi khafa

aapka tohfa aapka andaaz kya kahein aapse
kho gaye san alfaaz
chhalakti dua ki mehak khuda ki muskaan liye
chali hai aap ki orr

shukriya karna chahte hain

lafz nahin mil rahey kya kahein aapse
itni khushi de di hai ek hi pal mein
aapka tohfa woh aapki muskaan
un nazron se chhalakti khushi

kaise qaid karein woh chamak
jiske ehsaas mein har shabd dooba hai

kuchh tasveerein jorh kar aapne
har lamhe ko ek kavita bana diya
aise meethi dhun goonjey ehsaas ban
mehak jiski bas gayi hai har su..

bas ek hi sabd keh paaye hum - shukriya

dhund yeh dhuli hui chandni si paak
lehraati machalti lubhaati hai jaise
komal ehsaas khwaabon mein simatkar
urhte hon be-nakaab khayaalon ke baadal par

har taraf mehakte hain khushboo bankar
chahein bhi gar chhoona qaid karna inhe
machal machal jaate hain kasturi ki tarah
yeh chanchal arzoo-e-ehsaas hum thaamein toh kaise

kehna bhi chaha toh lafz dagaa de gaye
dhoondte hi rahey naam-e-ulfat kitaabon mein
ghazal ban do khayaal rijhaata tha hamein
aapko dekha to logon ne kaha shayari hai

sard hawa ke jhonke sa
ek khayaal sataata hai humko
sirf ek muskuraahat mein chhupi hui
hamari har muskaan

alfaaz toh sabhi parh lete hain
likhne waale ko parhe koi virle hi

waqt mein chhupa yeh khaali pal
apni parchhai chhorrh gaya

palat kar dekha raasta hi tha zindagi
dhoondte hum jisse barhte hi gaye

ajnabee shehar hain raaste anjaan
kuchh palon ne kaise apna ghar bana liya

farzi duniya dhoondti yeh lehron ko cheerti roshni
aise roshan raaste bana liye

gulaab ke chehre par ghabrayi haya ki nami

os ki ik boond par chamakti dhoop
aise hi kuchh rang lekar aaye hain

aapka khayaal chherrh jaata hai
hamari muskaan ko
na waqt na jagah ka pa-band yeh
karein hum qaid is khayaal ko bhi
gulaab kiye jaata hai

ek ehsaas anchhua sa har khauf se anjaan
sama gaya kuchh is tarah tha bekhabar deewaron se

ek chehra ajnabee sa apnon ke beech dekha hai
yeh kaisi nazar hai jo sabko begaana kar gai

chamchamaati roshni sama rahi paani mein
dhoond rahi hai yeh bhi apni pehchaan aaine mein

kehte hain phool bikharte hain har su

aks hai jiska us muskaan mein chamakta
khel rahi hai jo aapke khayaal mein

dhund yeh dhuli hui chandni si paak
lehraati machalti lubhaati hai jaise
kasmasaate ehsaas khwaabon mein simatkar
urrhte hain azaad khayaalon ke baadal par

khayaalon ki tanhai ka woh ek pal
kya kabhi de payenge khudko hum

talaashti aapki aankhein shaayad
dhoondti hain hum mein wohi lamha

azaad parinde ki tarah urrhta har mann
kyon hai uske pairon se bandhi dorr

janmon ke rishte hain ya ek pal ke naate
itna apnapan, aisi be-khudi
yeh kiske haathon mein hai
hamari dhadkanon ki dorr

barhi door se laye hain woh paigaam
jo dil ke kareeb rehta hai

kyon koste ho raat ko is chand in sitaaron ko
ek hi to chaadar hai orrhte hain jisse saath saath

saari raat lafzon mein humne to taaron ko piroyaa hai
neend le gaya ho jo usse aankhon mein sanjoya hai

is khwaabon ke shaayar ne dekho hamein kaise ghazal bana diya

aapke dil ki nagri ki kya baat kahein
ek hawa ka jhonka aaya kabhi idhar to kabhi udhar chali

ek dua jo ashirwaad ban gayi
ankahi, andekhi, anjaani, anmol
woh aap hi toh hain

har rishte mein samayi ek dhadkan, ek chehra
apnepan ki sachai jhalkaati ek hi nazar
bas ek sach zindagi ka, woh aap hi toh hain

ehsaas wahi zabaan doosri toh kya
kaun samjhaaye inhe aaina toh wohi hai
dosh nazar ko dein ya kahein kohra

kabhi gaane lagti hain waadiyan
bhool khudko jab kehte hain
kabhi udaas chaman dhoondta hai
phir wohi nasamajh ehsaas

naraaz shayad zindagi se kahin
ek rooh khud se bekhabar
na jaane kya dekhti hai
raat ke andheron mein
humne chhoo kar dekha paak ehsaas ko
churayein nazar kitni bhi
aaina phir bhi bolta hai..

sagar mein lupt yeh behti hai
boond ki pehchaan phir bhi rehti hai

sagar par machalti larajti
yeh baarish ki boondein
chherrhta hai aapka saath
kuchh aisi hi ada se

gulaab ki pankhudi ki
halchal ho paani par jaise
ek khayaal ajnabee sa tair raha aankhon mein

raat ke sannate mein chandni bikhri hui
kehte hain be-intehaa shor hai kaardhaane ka
hamein toh phir bhi ek hi awaaz sunayi deti hai
bolkar nahina hamein anmol banaaye jaati hai

kahin door sbah ki pehli kiran jab khel rahi ho chehre par
aapke khayaalon ke aangan mein
yeh kaun hai muskuraata hua

dekha jab taaron ko ek muskaan halki si
khel rahi thi ban aapka khayaal

aapke ehsaas ko chhoo kar chaha bahut kuchh kehna
khamosh nazrien utthin lekin phir jhukkar itna bol gayin

yeh kaisi aahat chaunka deti hai
parchhai bann khayalon ko
fikr ka rang jaane kyun
gehra hua jaata hai

har rang mein doob kar chhua zindagi ko kareeb se humne
aapse milkar jaana abhi pehchaan baaki hai

har roz ek nahi subah bhor ke ajoobe rang bhar
rok diti hai saans hamaari is paak nazzare se..

kuchh muskuraahaton ki talaash mein kho jaati hai hansi kahin
kissi manzil tak pahunchne ki jaldi mein
ek naye sapne ki talaash mein
bas ek kadam ke faasle par rehti hai khushi
har kadam par dil behak kar kehta hai yehi

nai si subah nai chandni yeh hai nazar bhi wahi dil bhi wahi yeh
hum bhi hain wahi sab kuchh hai wahi phir kya badal gaya hai hum kahaan kho gaye

khud se dooriyan khud ke paas hum sajda kiya hai hamesha paak sa bandhan
kaisi hai khushi naach uttha mann baar baar aise aankh kyun hai namm

socha na kabhi bhi na khud ki thi khabar kho hi gaye hum to ik rooh ki saadgi par
dil mein hai dua kissi ki har khushi ki unkaar karein kaise kis baat ka shikwa

khamoshiyon mein baatein nazron ki hai zubaan
kya reh gaya tha baaki kis baat ka gumaan
lafzon ne achaanak kya keh diya hai aisa
kyun dil hai pareshan kis baat ki uljhan

urhta hai mann khud hi, khushi ke pankhon par
haathhhhh jo hai thaama rishte se bekhabar
pairon ko dorr kheenche baandhey huey zameen par
kyun dil hai aise urhta khule aasamaan par

rishton ke bojh mein itna bhi na dabiye
ki rishte ki pehchaan mit jaaye

sailaab hai yeh kaisa, benaam koi rishta
khud se hi bekhabar yeh, khud ko hi bhula jaaye

sajda kiya hai humne, duaon ki dhadkano par
chahat ki bekhudi main, inteha bhi sharmaye

khilta hai mann kabhi to, aankhein ho gayin nam
kashish hai yeh kaise, kis rooh ka sparsh paaye

kya dhoondti hai nazrien pighalta hai mann hamara
hain hi nahin alag to, kis baat se ghabrayein

kehte kehte ruk jaate hain woh baatein
jo dhadkanon par behak jaayein
ruk na saka nazron ka bayan
dil ki bekasi dekho kaise daastaan sunaye

dil ke faasle raaston ke mohtaaz nahin

il pal mein chhupi roshni khil uthi us muskaan se bandh ke
subah bhi dekho kis kis tarah bhigo rahi hai mann ko
baarishon mein lipatke khushi lehraa uthi aapke sadke
chal rahey hain phir bhi khud bekhabar is anmol nazaare se

socha na kabhi bhi, na khud ki thi khabar
kho hi gaye hum to, ik rooh ki saadgi par
dil mein hai dua, kissi ki har khushi ki
inkaar karein kaise, kis baat ka shikwa

urhta hai mann khud hi, khushi ke pankhon par

kahmoshiyon mein baatein, nazron ki hai zubaan
kya reh gaya tha baaki, kis baat ka gumaan
lafzon ne achaanak kya keh diya hai aisa
kyun dil hai pareshan kis baat ki uljhan

kitna shor hai har taraf, kitna shor antarman mein
ek pal ka sukoon, ek pal ka milan, khud se na hua

hamari saansein jurh gayi hain aapse
aapke dil ki dhadkan hamein zindagi ka ehsaas dilaati hai
woh saanson ki mehak, woh dhadkan ki dhun
aapki baahon ke ghere mein
hamein toh hamara ghar, hamara jahaan mil gaya
kyun yaad aate hain har pal is tarah
aapka ehsaas to kabhi bhoolta hi nahin
mann karta hai bas saath baithe rahein
woh bolti khamoshi bhi yehi kehti hai
bas ek aapka saath hi to hai jo
hamein sab se zyaada pyaara hai
itna chahte hain aapko, ek pooja bana diya
aisa pyaar jisse chhoo sakein
mehsoos kar sakein
har pal har jagah
kya jadoo hai aap mein aapko baaton mein
hamein to kuchh bhi yaad nahin.. aapke siwa.. 

No comments:

Post a Comment