Thursday, March 27, 2014

swarg ki taal par

zindagi naachkar swarg ki taal par, chherhti hai
sur mohabbat ke, gunjaati dharti ki dhadkanon ko

life dances on the music of heavens, teasing
notes of love, resonating on heartbeats of earth

umangein naach utthi ragg ragg mein
behakkar brahmaand ki taalon par

desires dance in every vein
lost in the music of the cosmos

mehakti hai khushi hawa ke ehsaas si
machalti hai phir se mann ki tarunayi

fragrance of joy seeps as semblance of the breeze
once again awakening the youth of our soul

subah ki laalima lajaaye sapnon ki chandni mein
bhor aise rijhaati hai raat ke andheron ko

dawn blushes through the moonlight of dreams
see how it woos the darkness of night

samaatey hain raat din ek hi aagosh mein
aansoo ya muskaan dil ke ishaarey hain

day and night merge in the same embrace
a tear or a smile both depend on our will

machalti hai hatheli par rishton ki kashish
nahin karni bannd mutthi saans lene do inko

on every palm undulates the pull of relationships
don't close these fists, just let them breathe

anokhe hain bandhan kyun naam dei rishton ke
har rooh mein basi dhadkanon ki zubaan

strange bonds why give them any name
every soul holding the heartbeat of lifetimes

nikalti hai dua madhosh yehi, mehsoos karein
yeh khushi, yeh sach, aaj.. is pal... har pal

these helpless wishes hope you feel
this joy, this truth, today, this moment, every moment....

No comments:

Post a Comment