Thursday, March 27, 2014

khuda ki khudai

khuda ki khudai samjhein kaise
khud se hi pehchaan nahin
ek boond ban kar jeete hain
saagar mein sama kar bhi

bikhar gaya antarman
kahan le chale kadam
har safar zindagi ka
ya janmon ki hai dagar

ret ke maan, ret ka hi insaan
phir kaise yeh sarhadein
kis baat ki badgumaani hai

zindagi ek athaah saagar hi pyaar ka
jitna bhi bharo bujhti hi nahin

No comments:

Post a Comment